THE FAREWELL

Friendship?
Well “Friendship is that profit which doesn’t need any investment.”
Jab hum pehli baar school mein admission li thi,
Tab hum log rote hue school ghuse they.
Aj humara aankhri din hain iss school mein,
Dekho aaj bhi hum ro hi rahe hain.
Ek samay tha jab mummy school jaane ke liye roz zor karti thi
Aur hum bass ek hi jawab dete they “Nehi mummy Mujhe school nehi jaana”
Kise pata tha ki hum ek din school mein firse class karne ke liye royenge.
Tadpenge wahi classes karne ke liye jinhe hum log bunk kiya karte they.
Woh lunch break aata tha
Hum sab ek dusre ki tiffin cheen lete they.
Games period mein football khelne ke liye zid karte they.
Jab koi bolta tha “Sir may I fill my water bottle”
Sab log bolte they “Bhai mera wala bhi bhadke laa”
Aur agar water cooler pe apne dusri section ki crush aa jaye
Toh bhai poocho hi mut
Woh class toh miss hone hi wala hain
Woh teachers ke nicknames rakhna
Woh benches mein apna name likhna
Woh FLAMES try karna
Woh computer lab mein P*RN dekhna
Woh Chemistry class mein har roz lab jaane ki zid karna
Woh school wali crush ke baaju mein assembly mein khada hona
Woh apne bandi ke pass wale bench ke corner pe baithna
Woh Exams ke waqt washroom jaake discuss karna
Sab miss karunga boht.
Yaad hain woh saare practical jo hum log ek hi banake ek dusre ka copy karte they?
Yaad hain kaise hum log proxy lagwate they?
Yaad hain 3-3 ghanto tak kaise paper likhte they?
Exams ke baad bas ek hi baat bolte they
“Saale main toh pakka fail hone wala hoon.”
Aj humara farewell hain,
Sab log har ek ke Shirts mein sign kar rahe hain.
Sab log wahi same promise kar rahe hain “Friends Forever”
“We all will be in touch”
Magar aankhir mein koi connection hi nehi rakhta.
Kya hain na “Promises are the sweetest lies”
Jo 3 ladke ya ladkiyo ka group hota hain na?
Kasam se yeh unbreakable hote hain
Yeh log Tripod ki tarah kaam karte hain
Agar ek payr toot jaaye toh baaki do zyada der tak khade nehi reh sakte.
Aur aaj dekho sab bichad gaye.
Friends Forever toh suna tha.
Magar kisine kya notice kiya?
Forever always becomes OVER
Forever is a very short period of time.
After 5 years
Aaj jab firse apne usi school mein gaya
Kuch bhi badla tha, Magar dilko sukoon nehi mil raha tha
Kyun ki jo missing tha,
Woh they wahi kamine dost.
Aaj pata chala ki hum log school ko nehi apne usi doston ko miss karte hain.
© NILOY SHOUVIC ROY(NSR)
Vai..miss u
ReplyDeleteWILL MISS YOU TOO BRO
ReplyDelete