Be-Raah Mohabbat

 


Raat ke andhere mein dil ko jalata hoon,

tera naam le kar khud ko sambhalta hoon.

Par tu hai door, itni door ke saans bhi taane,

aur main teri yaadon ke saaye mein hi kaanpta hoon.


Chhoone ki tamanna ab zehr si lagti hai,

teri khamoshi meri rooh ko dagti hai.

Har baar keh deti ho— “Ghar wale nahi maanenge,”

aur main toot kar sochta hoon, kya mohabbat bhi ab thagti hai?


Main aa raha hoon teri mitti tak, teri zameen tak,

aur tu bhaag rahi hai mujhse kisi ajeeb si hameen tak.

Kehte ho, “Mulaqat mushkil hai, waqt sahi nahi,”

par mere dil ko lagta hai ke tu ab mere qareeb bhi nahi.


Main necha dil kar har bahaana maanta jaa raha hoon,

tumhari doori ka zehr roz peeta, muskurata jaa raha hoon.

Lagta hai tumhari baaton mein sach se zyada faraar hai,

jaise mere pyaar ka na koi mol, na izhaar hai.


Kabhi tum mere haathon mein kho jaati thi,

aaj ek call mein bhi tum toot kar nahi aati ho.

Woh pal jo kabhi hamara tha, ab khaali sa lagta hai,

jaise mohabbat ka chirag hi aaj bujh jaata ho.


Mujhe lagta hai ke tum sirf lafzon ki ek kahani thi,

jo waqt ke saath dhundhli ho kar purani si mehmani thi.

Aur main ab bhi us mohabbat ke khandar mein phirta hoon,

jahan tumhari yaad ne mujhe andar se hi maar daala hai… kaise bataoon?


Tanhai ne apna ghar mere seene mein basaya hai,

tere bina har din ne mujhe aur rulaya hai.

Shayad tum sach mein ab milna nahi chahti,

aur main apne toot ke bikhar jaane ka bojh chupchaap uthata jaa raha hoon… bas uthata jaa raha hoon.


© NILOY SHOUVIC ROY

Comments

Popular posts from this blog

"সিদুরের রাঙায় তোমার প্রেম"

নীল শাড়ির মায়ায় বাঁধা প্রেম

My Love Across the Miles (Sonnet)